uf ri naz-o-niyaz ki baaten
uf rī nāz-o-niyāz kī bāteñ
bāvle log bāvlī bāteñ
ab kahāñ haiñ vo apnoñ sī bāteñ
ajnabī log ajnabī bāteñ
mahkī mahkī vo raat kī raanī
shabnamī rāteñ shabnamī bāteñ
vo bhī kyā shaḳhs hai sub.hān-allāh
phuul sā chehra ḳhaar sī bāteñ
TuuT jaate haiñ reshmī rishte
yaad aatī haiñ reshmī bāteñ
haa.e vo duudh meñ dhulā chehrā
haa.e vo duudh meñ dhulī bāteñ
dostī kī safed chādar par
bad-numā daaġh matlabī bāteñ
apnī qismat meñ ab kahāñ 'nāmī'
bargadī chhāñv chulbulī bāteñ
uf ri naz-o-niyaz ki baaten
bawle log bawli baaten
ab kahan hain wo apnon si baaten
ajnabi log ajnabi baaten
mahki mahki wo raat ki rani
shabnami raaten shabnami baaten
wo bhi kya shaKHs hai subhan-allah
phul sa chehra KHar si baaten
TuT jate hain reshmi rishte
yaad aati hain reshmi baaten
hae wo dudh mein dhula chehra
hae wo dudh mein dhuli baaten
dosti ki safed chadar par
bad-numa dagh matlabi baaten
apni qismat mein ab kahan 'nami'
bargadi chhanw chulbuli baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.