uf ye dil hadson se ubharta nahin
uf ye dil hādsoñ se ubhartā nahīñ
kyuuñ ye kambaḳht muqaddar sañvartā nahīñ
ek ham haiñ ki ham par ghaḌoñ paḌ gayā
ek vo haiñ ki un par Thahartā nahīñ
vaañ to fitrat meñ shāmil hai aur ham pe yaañ
ġhairiyat kā gumāñ tak guzartā nahīñ
thā muqaddas vo mānind-e-jannat kabhī
kū-e-jānāñ se ab maiñ guzartā nahīñ
kis kashākash meñ haiñ zindagī-o-qazā
saañs chaltī nahīñ dam nikaltā nahīñ
uf ye dil hadson se ubharta nahin
kyun ye kambaKHt muqaddar sanwarta nahin
ek hum hain ki hum par ghaDon paD gaya
ek wo hain ki un par Thaharta nahin
wan to fitrat mein shamil hai aur hum pe yan
ghairiyat ka guman tak guzarta nahin
tha muqaddas wo manind-e-jannat kabhi
ku-e-jaanan se ab main guzarta nahin
kis kashakash mein hain zindagi-o-qaza
sans chalti nahin dam nikalta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.