ufuq par ek sitara hai
ufuq par ik sitārā hai
na jaane kyā ishāra hai
mohabbat meñ munāfa kyā
ḳhasārā hī ḳhasārā hai
diloñ kī dhaḌkanoñ par bhī
tumhārā hī ijāra hai
mirā kyā jurm hai maulā
zamīñ par kyoñ utārā hai
hamī ne ḳhuun de de kar
chaman apnā nikhārā hai
mohabbat kar ke dekho to
nasha kitnā karārā hai
mirī tum maan lo 'ābid'
tumhārā thā tumhārā hai
ufuq par ek sitara hai
na jaane kya ishaara hai
mohabbat mein munafa kya
KHasara hi KHasara hai
dilon ki dhaDkanon par bhi
tumhaara hi ijara hai
mera kya jurm hai maula
zamin par kyon utara hai
hami ne KHun de de kar
chaman apna nikhaara hai
mohabbat kar ke dekho to
nasha kitna karara hai
meri tum man lo 'abid'
tumhaara tha tumhaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.