ujaD dun main ye duniya wo zor hai mujh mein
ujaaḌ duuñ maiñ ye duniyā vo zor hai mujh meñ
ka.ī udaas havāoñ kā shor hai mujh meñ
maiñ apne aap kā sab se baḌā muḳhālif huuñ
mirī hī tarah kā ik shaḳhs aur hai mujh meñ
maiñ raqs-gāh-e-junūñ ishq kī huuñ rūh-e-ravāñ
tire bhī jism ke jangal kā mor hai mujh meñ
ye kah ke us ne mirī vahshatoñ ko thaam liyā
tire dhaḌakte hue dil kī Dor hai mujh meñ
ajab nahīñ ki mujhe log pūjne lag jaa.eñ
zamāne bhar ke ḳhudāoñ kī gor hai mujh meñ
ujaD dun main ye duniya wo zor hai mujh mein
kai udas hawaon ka shor hai mujh mein
main apne aap ka sab se baDa muKHalif hun
meri hi tarah ka ek shaKHs aur hai mujh mein
main raqs-gah-e-junun ishq ki hun ruh-e-rawan
tere bhi jism ke jangal ka mor hai mujh mein
ye kah ke us ne meri wahshaton ko tham liya
tere dhaDakte hue dil ki Dor hai mujh mein
ajab nahin ki mujhe log pujne lag jaen
zamane bhar ke KHudaon ki gor hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.