ujagar ho gae ruKH zindagi ke
ujāgar ho ga.e ruḳh zindagī ke
vagarna the irāde ḳhud-kushī ke
mile haiñ un se mauqe dostī ke
baḌe mamnūn haiñ ham zindagī ke
ye maidān-e-vafā hī hai vo maidāñ
jahāñ khulte haiñ jauhar aadmī ke
karam ai suḳhanī-e-rāh-e-mohabbat
qadam tharrā ga.e haiñ zindagī ke
qadam chūmegī baḌh kar kāmyābī
irāde kījiye manzil-rasī ke
nigāh-e-nāz ne karvaT jo badlī
badal kar rah ga.e ruḳh zindagī ke
rah-e-insāniyat meñ itifāqan
nikal aa.e haiñ goshe kajravī ke
halākat thī jahāñ ham-rañg-e-manzil
kuchh aise moḌ aa.e zindagī ke
ba-zāhir dekhne meñ dostī hai
diloñ meñ faisle haiñ dushmanī ke
salāmat haiñ agar merī vafā.eñ
badal jā.eñge pahlū be-ruḳhī ke
tamavvul kī ināyat par na jaanā
ulajh jaate haiñ dāman be-kasī ke
huī hai 'mauj' mushkil zindagānī
sile ye pā rahā huuñ dostī ke
ujagar ho gae ruKH zindagi ke
wagarna the irade KHud-kushi ke
mile hain un se mauqe dosti ke
baDe mamnun hain hum zindagi ke
ye maidan-e-wafa hi hai wo maidan
jahan khulte hain jauhar aadmi ke
karam ai suKHani-e-rah-e-mohabbat
qadam tharra gae hain zindagi ke
qadam chumegi baDh kar kaamyabi
irade kijiye manzil-rasi ke
nigah-e-naz ne karwaT jo badli
badal kar rah gae ruKH zindagi ke
rah-e-insaniyat mein itifaqan
nikal aae hain goshe kajrawi ke
halakat thi jahan ham-rang-e-manzil
kuchh aise moD aae zindagi ke
ba-zahir dekhne mein dosti hai
dilon mein faisle hain dushmani ke
salamat hain agar meri wafaen
badal jaenge pahlu be-ruKHi ke
tamawwul ki inayat par na jaana
ulajh jate hain daman be-kasi ke
hui hai 'mauj' mushkil zindagani
sile ye pa raha hun dosti ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.