ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai
ujālā jab shab-e-zulmāt par utartā hai
vo harf harf mirī zaat par utartā hai
us ek rañg pe qurbān dil ke sab mausam
jo rañg shiddat-e-jazbāt par utartā hai
vo ḳhvāb-gāh kī raunaq vo chāñd jaisā badan
kabhī hayāt kabhī zaat par utartā hai
suḳhan-varān-e-kuhan us pe rashk karte haiñ
jo dard parcha-e-abyāt par utartā hai
kabhī-kabhār to suqrāt kī ridā ban kar
shu.ūr-e-fikr tilismāt par utartā hai
ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai
wo harf harf meri zat par utarta hai
us ek rang pe qurban dil ke sab mausam
jo rang shiddat-e-jazbaat par utarta hai
wo KHwab-gah ki raunaq wo chand jaisa badan
kabhi hayat kabhi zat par utarta hai
suKHan-waran-e-kuhan us pe rashk karte hain
jo dard parcha-e-abyat par utarta hai
kabhi-kabhaar to suqraat ki rida ban kar
shuur-e-fikr tilismat par utarta hai
- Book : Surkhab (Pg. 36)
- Author : Azm Shakri
- Publication : Aiwan-e-adab Publishers (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.