ujale ho gae zinda meri ghamgin aankhon mein
ujāle ho ga.e zinda mirī ġhamgīn āñkhoñ meñ
tum aa.e to sadā ko bas ga.ī taskīn āñkhoñ meñ
lagāyā kājal-e-ishq us ne jab shauqīn āñkhoñ meñ
simaT aa.iiñ sabhī rañgīniyāñ rañgīn āñkhoñ meñ
mahak uThtī haiñ jism-o-jāñ kī afsurda fazā.eñ bhī
jab aatā hai piro kar vo gul-e-nasrīn āñkhoñ meñ
jo in meñ Duub jaatā hai ubhar kar phir nahīñ aatā
samundar kar rakhe haiñ band kyā namkīn āñkhoñ meñ
badan sone kā rakhtā hai vo dilbar dekhne us ko
lagā kar surma-e-zarrīñ chalo miskīn āñkhoñ meñ
uḌāneñ bharne lagtī haiñ ḳhayāloñ kī abābīleñ
jab āñkheñ Dāltā huuñ maiñ tirī shāhīn āñkhoñ meñ
ka.ī dil pheñk dil ke ābgīne toḌ kar bhāge
qayāmat jab bapā hone lagī shauqīn āñkhoñ meñ
hamāre jazba-e-dil ko sarāho ai qalam-kāro
fasāne kar diye ham ne raqam do tiin āñkhoñ meñ
lahad aisī kisī ne bhī na dekhī hogī ai 'shībān'
hazāroñ hasratoñ kī ho ga.ī tadfīn āñkhoñ meñ
ujale ho gae zinda meri ghamgin aankhon mein
tum aae to sada ko bas gai taskin aankhon mein
lagaya kajal-e-ishq us ne jab shauqin aankhon mein
simaT aain sabhi ranginiyan rangin aankhon mein
mahak uThti hain jism-o-jaan ki afsurda fazaen bhi
jab aata hai piro kar wo gul-e-nasrin aankhon mein
jo in mein Dub jata hai ubhar kar phir nahin aata
samundar kar rakhe hain band kya namkin aankhon mein
badan sone ka rakhta hai wo dilbar dekhne us ko
laga kar surma-e-zarrin chalo miskin aankhon mein
uDanen bharne lagti hain KHayalon ki ababilen
jab aankhen Dalta hun main teri shahin aankhon mein
kai dil phenk dil ke aabgine toD kar bhage
qayamat jab bapa hone lagi shauqin aankhon mein
hamare jazba-e-dil ko saraho ai qalam-karo
fasane kar diye hum ne raqam do tin aankhon mein
lahad aisi kisi ne bhi na dekhi hogi ai 'shiban'
hazaron hasraton ki ho gai tadfin aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.