ujDa hua shahr phir basaun
Interesting Fact
1972
ujḌā huā shahr phir basā.ūñ
ye hausla ab kahāñ se lā.ūñ
TuuTe hue aa.ine meñ ḳhud ko
maiñ dekh jo luuñ to Dar na jā.ūñ
zaḳhmoñ se bhare chaman meñ rah kar
phūloñ se mahakte giit gā.ūñ
ai kaash vafā kī raushnī se
ummīd kā ik diyā jalā.ūñ
tajdīd-e-vafā ke āsare par
zaḳhmoñ kī chubhan bhī bhuul jā.ūñ
apnā hī lahū ravish ravish par
ai mere chaman kise dikhā.ūñ
ujDa hua shahr phir basaun
ye hausla ab kahan se laun
TuTe hue aaine mein KHud ko
main dekh jo lun to Dar na jaun
zaKHmon se bhare chaman mein rah kar
phulon se mahakte git gaun
ai kash wafa ki raushni se
ummid ka ek diya jalaun
tajdid-e-wafa ke aasare par
zaKHmon ki chubhan bhi bhul jaun
apna hi lahu rawish rawish par
ai mere chaman kise dikhaun
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 61)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.