ujDa lagta hai gharibon ka nagar sham ke baad
ujḌā lagtā hai ġharīboñ kā nagar shaam ke baad
dekh lete haiñ vo ummīd-e-sahar shaam ke baad
dhuup rusvā.ī kā sāmān liye phirtī hai
us ko aanā thā to aa jaatā magar shaam ke baad
sub.h hote hī vo murjhā gayā tauba tauba
khil gayā thā jo mohabbat kā samar shaam ke baad
vo gulistāñ meñ rahe yā kisī vīrāne meñ
DhūñD letā hai use zauq-e-nazar shaam ke baad
apnī qismat meñ nahīñ jashn charāġhāñ kā 'surūr'
raat aa.ī nahīñ hotī hai sahar shaam ke baad
ujDa lagta hai gharibon ka nagar sham ke baad
dekh lete hain wo ummid-e-sahar sham ke baad
dhup ruswai ka saman liye phirti hai
us ko aana tha to aa jata magar sham ke baad
subh hote hi wo murjha gaya tauba tauba
khil gaya tha jo mohabbat ka samar sham ke baad
wo gulistan mein rahe ya kisi virane mein
DhunD leta hai use zauq-e-nazar sham ke baad
apni qismat mein nahin jashn charaghan ka 'surur'
raat aai nahin hoti hai sahar sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.