ujDe hue dayar ka matlab samajh gae
ujḌe hue dayār kā matlab samajh ga.e
tum kaise intizār kā matlab samajh ga.e
jo ajnabī the ishq-o-mohabbat ke lafz se
sad-shukr hai vo yaar kā matlab samajh ga.e
phir khul ke apne ishq kā iz.hār kar diyā
jab vo bhī hāl-e-zār kā matlab samajh ga.e
hairat meñ huuñ maiñ dekh ke ye aaj dosto
vo kaise dil-figār kā matlab samajh ga.e
thoḌī bahut idhar bhī haiñ kuchh be-qarāriyāñ
jo dil ke tār-tār kā matlab samajh ga.e
us ko bhī merī yaad ne majbūr kar diyā
jab mausam-e-bahār kā matlab samajh ga.e
nazreñ jhukā.e rakhnā 'hirā' un ke rū-ba-rū
vo bhī tumhāre pyaar kā matlab samajh ga.e
ujDe hue dayar ka matlab samajh gae
tum kaise intizar ka matlab samajh gae
jo ajnabi the ishq-o-mohabbat ke lafz se
sad-shukr hai wo yar ka matlab samajh gae
phir khul ke apne ishq ka izhaar kar diya
jab wo bhi haal-e-zar ka matlab samajh gae
hairat mein hun main dekh ke ye aaj dosto
wo kaise dil-figar ka matlab samajh gae
thoDi bahut idhar bhi hain kuchh be-qarariyan
jo dil ke tar-tar ka matlab samajh gae
us ko bhi meri yaad ne majbur kar diya
jab mausam-e-bahaar ka matlab samajh gae
nazren jhukae rakhna 'hira' un ke ru-ba-ru
wo bhi tumhaare pyar ka matlab samajh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.