ujDe hue jahan bahut waqt ho gaya
ujḌe hue jahān bahut vaqt ho gayā
zinda hai bas thakān bahut vaqt ho gayā
ik qaul thā ki saath jiyeñge mareñge ham
badle hue bayān bahut vaqt ho gayā
sun fasl ishq kī mirī barbād ho ga.ī
kab tak bharūñ lagān bahut vaqt ho gayā
ham ḳhāndānī log anā se bhare hue
bikhrā hai ḳhāndān bahut vaqt ho gayā
ḳhāna-ba-dosh ruuh to khanDar meñ qaid hai
TuuTe hue makān bahut vaqt ho gayā
ham se lipaT ke rone ko hī aao ek din
ro.e hue bhī jaan bahut vaqt ho gayā
jannat kā aadmī huuñ zamīñ pe udaas huuñ
kuchh soch āsmān bahut vaqt ho gayā
ujDe hue jahan bahut waqt ho gaya
zinda hai bas thakan bahut waqt ho gaya
ek qaul tha ki sath jiyenge marenge hum
badle hue bayan bahut waqt ho gaya
sun fasl ishq ki meri barbaad ho gai
kab tak bharun lagan bahut waqt ho gaya
hum KHandani log ana se bhare hue
bikhra hai KHandan bahut waqt ho gaya
KHana-ba-dosh ruh to khanDar mein qaid hai
TuTe hue makan bahut waqt ho gaya
hum se lipaT ke rone ko hi aao ek din
roe hue bhi jaan bahut waqt ho gaya
jannat ka aadmi hun zamin pe udas hun
kuchh soch aasman bahut waqt ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.