ujDi hui aankhon mein sitare nahin milte
ujḌī huī āñkhoñ meñ sitāre nahīñ milte
dariyā-e-mohabbat ke kināre nahīñ milte
is daur meñ atfāl ko bahlāne kī ḳhātir
bārūd to miltā hai ġhubāre nahīñ milte
matlab ho to har moḌ pe mil jaate haiñ hamdard
mushkil meñ kabhī yaar piyāre nahīñ milte
baiThe haiñ koī qāsid-e-yār aa.e idhar bhī
muddat huī maktūb tumhāre nahīñ milte
bahtā hai lahū shahr kī har ek galī meñ
āñkhoñ ko gulistāñ ke nazāre nahīñ milte
ik dard kā maarā mire andar hī chhupā hai
aur us ko kahīñ dard ke maare nahīñ milte
ujDi hui aankhon mein sitare nahin milte
dariya-e-mohabbat ke kinare nahin milte
is daur mein atfal ko bahlane ki KHatir
barud to milta hai ghubare nahin milte
matlab ho to har moD pe mil jate hain hamdard
mushkil mein kabhi yar piyare nahin milte
baiThe hain koi qasid-e-yar aae idhar bhi
muddat hui maktub tumhaare nahin milte
bahta hai lahu shahr ki har ek gali mein
aankhon ko gulistan ke nazare nahin milte
ek dard ka mara mere andar hi chhupa hai
aur us ko kahin dard ke mare nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.