uksa raha hai tark-e-talluq pe dil mujhe
uksā rahā hai tark-e-ta'alluq pe dil mujhe
jitnā bhī jaldī ho sake ai dost mil mujhe
kurte se match hote nahīñ mujh button ke taar
yā rahne de yā dhyān se is baar sil mujhe
ye naḳhl-e-vaqt shāḳh-e-tahayyur se nasr hai
ātish-fishāñ badan ne kiyā āb-o-gil mujhe
ḳhush-hāl dekh kar mujhe hairānī kaisī hai
vo ek din tumhī ne to bolā thā khil mujhe
uksa raha hai tark-e-ta'alluq pe dil mujhe
jitna bhi jaldi ho sake ai dost mil mujhe
kurte se match hote nahin mujh button ke tar
ya rahne de ya dhyan se is bar sil mujhe
ye naKHl-e-waqt shaKH-e-tahayyur se nasr hai
aatish-fishan badan ne kiya aab-o-gil mujhe
KHush-haal dekh kar mujhe hairani kaisi hai
wo ek din tumhi ne to bola tha khil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.