ukta ke chala aaya hun khaTpaT se baDi dur
uktā ke chalā aaya huuñ khaTpaT se baḌī duur
ḳhud apne hī ghar apnī hī chaukhaT se baḌī duur
har saañs udāsī kā safar karnā hai mujh ko
ik raah bane dil kī thakāvaT se baḌī duur
kis darja sukūñ-afzā hai ye hijr kā aalam
is ishq ko rakh vasl ke jhanjhaT se baḌī duur
lāzim hai kisī baat se dil terā dukhā de
tū rahiyo mujh aise kisī muñh-phaT se baḌī duur
ye ham jo suhāte nahīñ duniyā ko nazar bhar
kirdār ke ḳhālis haiñ banāvaT se baḌī duur
duniyā koī raas aa.ī to ḳhalvat se pare kī
dil jā ke basā bhī hai to jamghaT se baḌī duur
ukta ke chala aaya hun khaTpaT se baDi dur
KHud apne hi ghar apni hi chaukhaT se baDi dur
har sans udasi ka safar karna hai mujh ko
ek rah bane dil ki thakawaT se baDi dur
kis darja sukun-afza hai ye hijr ka aalam
is ishq ko rakh wasl ke jhanjhaT se baDi dur
lazim hai kisi baat se dil tera dukha de
tu rahiyo mujh aise kisi munh-phaT se baDi dur
ye hum jo suhate nahin duniya ko nazar bhar
kirdar ke KHalis hain banawaT se baDi dur
duniya koi ras aai to KHalwat se pare ki
dil ja ke basa bhi hai to jamghaT se baDi dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.