ulajhte rahte haiñ dil ke muāmlāt meñ ham
to aa hī jā.eñge ik din tumhārī baat meñ ham
hamāre baad ye vahshat nahīñ milegī tumheñ
junūñ kā āḳhirī qissa haiñ kā.enāt meñ ham
tirā asiir huā thā ye dil ḳhushī se magar
bahut dukhe hue rahte haiñ tere haath meñ ham
kisī ne pūchh liyā to javāb kyā deñge
nikal to aa.e haiñ aisī akelī raat meñ ham
ulajhte rahte hain dil ke muamlat mein hum
to aa hi jaenge ek din tumhaari baat mein hum
hamare baad ye wahshat nahin milegi tumhein
junun ka aaKHiri qissa hain kaenat mein hum
tera asir hua tha ye dil KHushi se magar
bahut dukhe hue rahte hain tere hath mein hum
kisi ne puchh liya to jawab kya denge
nikal to aae hain aisi akeli raat mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.