ulfat ke jab se aam kai raaz ho gae
ulfat ke jab se aam ka.ī raaz ho ga.e
badle hue jahān ke andāz ho ga.e
hālāñki roz aate the marzī se apnī vo
ik din bulāyā ham ne to nārāz ho ga.e
pal pal badalte rañg haiñ insān kis kis tarah
samjhā thā jin ko dost daġhābāz ho ga.e
jin kā koī atā na patā thā kisī ko bhī
chiḌiyā huī javāñ to ka.ī baaz ho ga.e
vo raqs thā ki ḳhuuñ se zamīñ laal ho ga.ī
ḳhāmosh jitne bhī the vahāñ saaz ho ga.e
ānand kis tarah se badaltā hai vaqt bhī
buzdil jo kal talak the vo jāñ-bāz ho ga.e
ulfat ke jab se aam kai raaz ho gae
badle hue jahan ke andaz ho gae
haalanki roz aate the marzi se apni wo
ek din bulaya hum ne to naraaz ho gae
pal pal badalte rang hain insan kis kis tarah
samjha tha jin ko dost daghabaz ho gae
jin ka koi ata na pata tha kisi ko bhi
chiDiya hui jawan to kai baz ho gae
wo raqs tha ki KHun se zamin lal ho gai
KHamosh jitne bhi the wahan saz ho gae
aanand kis tarah se badalta hai waqt bhi
buzdil jo kal talak the wo jaan-baz ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.