ulfat ki nai manzil ko chala tu banhen Dal ke banhon mein
ulfat ki nai manzil ko chala tu banhen Dal ke banhon mein
Qateel Shifai
MORE BYQateel Shifai
ulfat kī na.ī manzil ko chalā tū bāñheñ Daal ke bāñhoñ meñ
dil toḌne vaale dekh ke chal ham bhī to paḌe haiñ rāhoñ meñ
kyā kyā na jafā.eñ dil pe sahīñ par tum se koī shikva na kiyā
is jurm ko bhī shāmil kar lo mere ma.asūm gunāhoñ meñ
jab chāñdnī rātoñ meñ tum ne ḳhud ham se kiyā iqrār-e-vafā
phir aaj haiñ ham kyoñ begāne terī be-rahm nigāhoñ meñ
ham bhī haiñ vahī tum bhī ho vahī ye apnī apnī qismat hai
tum khel rahe ho ḳhushiyoñ se ham Duub ga.e haiñ aahoñ meñ
ulfat ki nai manzil ko chala tu banhen Dal ke banhon mein
dil toDne wale dekh ke chal hum bhi to paDe hain rahon mein
kya kya na jafaen dil pe sahin par tum se koi shikwa na kiya
is jurm ko bhi shamil kar lo mere masum gunahon mein
jab chandni raaton mein tum ne KHud hum se kiya iqrar-e-wafa
phir aaj hain hum kyon begane teri be-rahm nigahon mein
hum bhi hain wahi tum bhi ho wahi ye apni apni qismat hai
tum khel rahe ho KHushiyon se hum Dub gae hain aahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.