Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat ye chhupaen hum kisi ki

Goya Faqir Mohammad

ulfat ye chhupaen hum kisi ki

Goya Faqir Mohammad

ulfat ye chhupā.eñ ham kisī

dil se bhī kaheñ na apnī

jaane vo kyā kisī

jis ko ulfat na ho kisī

ḳhvāhish na bar aa.ī apnī

ham ne kis kis dostī

achchhī nahīñ sharh āshiqī

pūchho na ajī kisī

ye ro.e ki naama bah ke pahuñchā

ashkoñ ne hamāre qāsidī

surḳhī magar us ke lab dekhī

rañgat hai safed aarsī

āshiq the vo ham ki ba.ad apne

miTTī ḳharāb āshiqī

ai abr-e-shab-e-firāq sach kah

rote kaTtī hai shab kisī

dil zulf-e-rasā talak to pahuñchā

itnī baḳhtoñ ne rahbarī

bijlī chamkī to abr royā

yaad aa ga.ī kyā hañsī kisī

ham kisī galī raah bhūle

jo ḳhizr ne bhī na rahbarī

dil ko mire ḳhaak meñ milāyā

dilbar ne ḳhuub dilbarī

sozish mire dil dekh ai maah

kar sair is burj-e-ātishī

vo tifl-e-nusairī aa.e shāyad

qasmeñ duuñ murtazā-alī

gardan-zadanī thī sham.a-e-sarkash

kyuuñ us galī se ham-sarī

bas rakh diyā ḳhat meñ barg-e-sausan

jab likh na sake sifat misī

Thukrā ke chalī jabīñ ko mere

qismat ke likhe ne yāvarī

ye rashk hai muñh jo yaar dekhe

sūrat dekhūñ na aarsī

bhūlā thā maiñ rāh-e-kū-e-qātil

ne ai maut rahbarī

us ke gardan talak na pahuñchā

ai dast-e-darāz kotahī

dil ko paalā baġhal meñ ne

goyā dushman se dostī

ulfat ye chhupaen hum kisi ki

dil se bhi kahen na apni ji ki

jaane wo kya kisi ki ji ki

jis ko ulfat na ho kisi ki

KHwahish na bar aai apni ji ki

hum ne kis kis ki dosti ki

achchhi nahin sharh aashiqi ki

puchho na aji kisi ki ji ki

ye roe ki nama bah ke pahuncha

ashkon ne hamare qasidi ki

surKHi magar us ke lab ki dekhi

rangat hai safed aarsi ki

aashiq the wo hum ki baad apne

miTTi hi KHarab aashiqi ki

ai abr-e-shab-e-firaq sach kah

rote kaTti hai shab kisi ki

dil zulf-e-rasa talak to pahuncha

itni baKHton ne rahbari ki

bijli chamki to abr roya

yaad aa gai kya hansi kisi ki

hum kisi ki gali ki rah bhule

jo KHizr ne bhi na rahbari ki

dil ko mere KHak mein milaya

dilbar ne KHub dilbari ki

sozish mere dil ki dekh ai mah

kar sair is burj-e-atishi ki

wo tifl-e-nusairi aae shayad

qasmen dun murtaza-ali ki

gardan-zadani thi shama-e-sarkash

kyun us ki gali se ham-sari ki

bas rakh diya KHat mein barg-e-sausan

jab likh na sake sifat misi ki

Thukra ke chali jabin ko mere

qismat ke likhe ne yawari ki

ye rashk hai munh jo yar dekhe

surat dekhun na aarsi ki

bhula tha main rah-e-ku-e-qatil

tu ne ai maut rahbari ki

us ke gardan talak na pahuncha

ai dast-e-daraaz kotahi ki

dil ko pala baghal mein tu ne

goya dushman se dosti ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now