uljhan mein ujala hai hairat mein andhera hai
uljhan meñ ujālā hai hairat meñ añdherā hai
duniyā tire āñgan meñ ye kaisā saverā hai
sadiyoñ se hai roz-o-shab chehroñ kā safar jaarī
lamhāt kā ā.īna terā hai na merā hai
fitrat ne atā kī hai ye be-sar-o-sāmānī
dil ḳhāna-ba-doshoñ kā ujḌā huā Derā hai
sāñsoñ se subuk ho kar baḌh jaate haiñ ham aage
ye paikar-e-ḳhākī to ik rain baserā hai
kirneñ ġham-e-daurāñ kī thak jaatī haiñ raste meñ
saaya tirī yādoñ kā is darja ghanerā hai
sarmāya usūloñ kā rakh ghar meñ 'hayāt' apne
har gaam yahāñ rahzan har moḌ luTerā hai
uljhan mein ujala hai hairat mein andhera hai
duniya tere aangan mein ye kaisa sawera hai
sadiyon se hai roz-o-shab chehron ka safar jari
lamhat ka aaina tera hai na mera hai
fitrat ne ata ki hai ye be-sar-o-samani
dil KHana-ba-doshon ka ujDa hua Dera hai
sanson se subuk ho kar baDh jate hain hum aage
ye paikar-e-KHaki to ek rain basera hai
kirnen gham-e-dauran ki thak jati hain raste mein
saya teri yaadon ka is darja ghanera hai
sarmaya usulon ka rakh ghar mein 'hayat' apne
har gam yahan rahzan har moD luTera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.