uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna
uljhī huī sochoñ kī girheñ kholte rahnā
achchhā hai magar in meñ lahū gholte rahnā
din bhar kisī manzar ke ta.āqub meñ bhaTaknā
aur shaam ko lafzoñ ke nagīñ rolte rahnā
maiñ lamha-e-mahfūz nahīñ ruk na sakūñgā
uḌnā hai mire sañg to par taulte rahnā
ḳhāmosh bhī rahne se janāze nahīñ rukte
jiine ke liye ham-nafaso bolte rahnā
achchhā nahīñ āġhāz-e-masāfat hī meñ 'nāsir'
kashtī kā sar-e-āb-e-ravāñ Dolte rahnā
uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna
achchha hai magar in mein lahu gholte rahna
din bhar kisi manzar ke taaqub mein bhaTakna
aur sham ko lafzon ke nagin rolte rahna
main lamha-e-mahfuz nahin ruk na sakunga
uDna hai mere sang to par taulte rahna
KHamosh bhi rahne se janaze nahin rukte
jine ke liye ham-nafaso bolte rahna
achchha nahin aaghaz-e-masafat hi mein 'nasir'
kashti ka sar-e-ab-e-rawan Dolte rahna
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 545)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.