uljhi uljhi zulf ke KHam nachte
uljhī uljhī zulf ke ḳham nāchte
terī mahfil meñ agar ham nāchte
jhoñk dete aag meñ ḳhushiyāñ tamām
dekh lete ham agar ġham nāchte
donoñ hāthoñ se uThā kar ham falak
dam damā dam dam damā dam nāchte
chaa.e kī baiThak pe baiThe do raqīb
apne apne ġham pe bāham nāchte
murshidī kā shukr ho jaatā adā
dīda-e-nam āḳhirī dam nāchte
aaḌe aatī hai jhijhak varna miyāñ
nāchte 'ārif' to ūdham nāchte
uljhi uljhi zulf ke KHam nachte
teri mahfil mein agar hum nachte
jhonk dete aag mein KHushiyan tamam
dekh lete hum agar gham nachte
donon hathon se uTha kar hum falak
dam dama dam dam dama dam nachte
chae ki baiThak pe baiThe do raqib
apne apne gham pe baham nachte
murshidi ka shukr ho jata ada
dida-e-nam aaKHiri dam nachte
aaDe aati hai jhijhak warna miyan
nachte 'arif' to udham nachte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.