Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulTe sidhe gire paDe hain peD

Suryabhanu Gupt

ulTe sidhe gire paDe hain peD

Suryabhanu Gupt

MORE BYSuryabhanu Gupt

    ulTe sīdhe gire paḌe haiñ peḌ

    raat tūfān se laḌe haiñ peḌ

    kaun aayā thā kis se baat huī

    āñsuoñ tarah jhaḌe haiñ peḌ

    bāġhbāñ ho ga.e lakaḌhāre

    haal pūchhā to ro paḌe haiñ peḌ

    kyā ḳhabar intizār hai kis

    sāl-hā-sāl se khaḌe haiñ peḌ

    jis jagah haiñ na Tas-se-mas hoñge

    kaun baat par aḌe haiñ peḌ

    koñpleñ phuul pattiyāñ dekho

    kaun kahtā hai ye kaḌe haiñ peḌ

    jiit kar kaun is zamīñ ko gayā

    parchamoñ tarah gaḌe haiñ peḌ

    apnī duniyā ke log lagte haiñ

    kuchh haiñ chhoTe to kuchh baḌe haiñ peḌ

    'umr bhar rāstoñ pe rahte haiñ

    shā'irī par sabhī paḌe haiñ peḌ

    maut tak dostī nibhāte haiñ

    aadmī se bahut baḌe haiñ peḌ

    apnā chehra nihār leñ rutveñ

    ā.inoñ tarah jaḌe haiñ peḌ

    ulTe sidhe gire paDe hain peD

    raat tufan se laDe hain peD

    kaun aaya tha kis se baat hui

    aansuon ki tarah jhaDe hain peD

    baghban ho gae lakaDhaare

    haal puchha to ro paDe hain peD

    kya KHabar intizar hai kis ka

    sal-ha-sal se khaDe hain peD

    jis jagah hain na Tas-se-mas honge

    kaun si baat par aDe hain peD

    konplen phul pattiyan dekho

    kaun kahta hai ye kaDe hain peD

    jit kar kaun is zamin ko gaya

    parchamon ki tarah gaDe hain peD

    apni duniya ke log lagte hain

    kuchh hain chhoTe to kuchh baDe hain peD

    'umr bhar raston pe rahte hain

    sha'iri par sabhi paDe hain peD

    maut tak dosti nibhate hain

    aadmi se bahut baDe hain peD

    apna chehra nihaar len rutwen

    aainon ki tarah jaDe hain peD

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now