ulTe sidhe sapne pale baiThe hain
ulTe sīdhe sapne paale baiThe haiñ
sab paanī meñ kāñTā Daale baiThe haiñ
ik bīmār vasīyat karne vaalā hai
rishte naate jiibh nikāle baiThe haiñ
bastī kā māmūl pe aanā mushkil hai
chaurāhe par vardī vaale baiThe haiñ
dhāge par laTkī hai izzat logoñ kī
sab apnī dastār sambhāle baiThe haiñ
sāhab-zāda pichhlī raat se ġhā.eb hai
ghar ke andar rishte vaale baiThe haiñ
aaj shikārī kī jholī bhar jā.egī
aaj parinde gardan Daale baiThe haiñ
ulTe sidhe sapne pale baiThe hain
sab pani mein kanTa Dale baiThe hain
ek bimar wasiyat karne wala hai
rishte nate jibh nikale baiThe hain
basti ka mamul pe aana mushkil hai
chaurahe par wardi wale baiThe hain
dhage par laTki hai izzat logon ki
sab apni dastar sambhaale baiThe hain
sahab-zada pichhli raat se ghaeb hai
ghar ke andar rishte wale baiThe hain
aaj shikari ki jholi bhar jaegi
aaj parinde gardan Dale baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.