ulTi taswir pahan kar nikle
ulTī tasvīr pahan kar nikle
apnī taqdīr pahan kar nikle
us ko dekhā thā bahut āñkhoñ ne
ḳhvāb ta.abīr pahan kar nikle
fasl-e-gul aa ga.ī to paañv meñ
ham bhī zanjīr pahan kar nikle
sher ham ne bhī bahut likh Daale
kaisī tash.hīr pahan kar nikle
har taraf apnī alam-dārī hai
kaise ye tiir pahan kar nikle
saath dene ko bahattar kā 'umar'
ham bhī shamshīr pahan kar nikle
ulTi taswir pahan kar nikle
apni taqdir pahan kar nikle
us ko dekha tha bahut aankhon ne
KHwab tabir pahan kar nikle
fasl-e-gul aa gai to panw mein
hum bhi zanjir pahan kar nikle
sher hum ne bhi bahut likh Dale
kaisi tashhir pahan kar nikle
har taraf apni alam-dari hai
kaise ye tir pahan kar nikle
sath dene ko bahattar ka 'umar'
hum bhi shamshir pahan kar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.