bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
bahut dinoñ se mujhe terā intizār hai aa jā
aur ab to ḳhaas vahī mausam-e-bahār hai aa jā
kahāñ ye hosh ki uslūb-e-tāza se tujhe likhūñ
ki ruuh tere liye saḳht be-qarār hai aa jā
guzar chalī haiñ bahut ġham kī shorisheñ bhī hadoñ se
magar abhī to tirā sab pe iḳhtiyār hai aa jā
vo terī yaad ki ab tak sukūn-e-qalb-e-tapāñ thī
tirī qasam hai ki ab vo bhī nāgavār hai aa jā
ġhazal ke shikve ġhazal ke mu'āmalāt judā haiñ
mirī hī tarah se to bhī vafā-shi'ār hai aa jā
badal rahā ho zamāna magar jahān-e-tamannā
tire liye to abad tak bhī sāzgār hai aa jā
hazār tarah ke afkār dil ko rauñd rahe haiñ
muqāble meñ tire ranj-e-rozgār hai aa jā
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to KHas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruh tere liye saKHt be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tera sab pe iKHtiyar hai aa ja
wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja
ghazal ke shikwe ghazal ke mu'amalat juda hain
meri hi tarah se to bhi wafa-shi'ar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.