ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
ghabrā.eñ havādis se kyā ham jiine ke sahāre nikleñge
Dūbegā agar ye sūraj bhī to chāñd sitāre nikleñge
andāz-e-zamāna kahtā hai phir mauj-e-havā ruḳh badlegī
añgāroñ se gulshan phūTegā shabnam se sharāre nikleñge
firdaus-e-nazar ke dīvāne tārīk fazā se kyā Darnā
tū sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazāre nikleñge
anjām-e-kashākash hogā kuchh dekheñ to tamāshā dīvāne
yā ḳhaak uḌegī gardūñ par yā farsh pe taare nikleñge
'masrūr' kareñ ahl-e-sāhil kuchh fikr na himmat vāloñ kī
Dūbeñge safīne jitne bhī ik din vo kināre nikleñge
ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
Dubega agar ye suraj bhi to chand sitare niklenge
andaz-e-zamana kahta hai phir mauj-e-hawa ruKH badlegi
angaron se gulshan phuTega shabnam se sharare niklenge
firdaus-e-nazar ke diwane tarik faza se kya Darna
tu sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazare niklenge
anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha diwane
ya KHak uDegi gardun par ya farsh pe tare niklenge
'masrur' karen ahl-e-sahil kuchh fikr na himmat walon ki
Dubenge safine jitne bhi ek din wo kinare niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.