kya aaj un se apni mulaqat ho gai
kyā aaj un se apnī mulāqāt ho ga.ī
sahrā pe jaise TuuT ke barsāt ho ga.ī
vīrān bastiyoñ meñ mirā din huā tamām
sunsān jañgaloñ meñ mujhe raat ho ga.ī
kartī hai yuuñ bhī baat mohabbat kabhī kabhī
nazreñ milīñ na hoñT hile baat ho ga.ī
zālim zamāna ham ko agar de gayā shikast
baazī mohabbatoñ kī agar maat ho ga.ī
ham ko nigal sakeñ ye añdheroñ meñ dam kahāñ
jab chāñdnī se apnī mulāqāt ho ga.ī
bāzār jaanā aaj saphal ho gayā mirā
barsoñ ke ba.ad un se mulāqāt ho ga.ī
kya aaj un se apni mulaqat ho gai
sahra pe jaise TuT ke barsat ho gai
viran bastiyon mein mera din hua tamam
sunsan jangalon mein mujhe raat ho gai
karti hai yun bhi baat mohabbat kabhi kabhi
nazren milin na honT hile baat ho gai
zalim zamana hum ko agar de gaya shikast
bazi mohabbaton ki agar mat ho gai
hum ko nigal saken ye andheron mein dam kahan
jab chandni se apni mulaqat ho gai
bazar jaana aaj saphal ho gaya mera
barson ke baad un se mulaqat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.