mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
mazāq-e-ġham se nikhregā shu.ūr-e-kārvāñ kab tak
asīr-e-rahbarī DhūñDeñge qadmoñ ke nishāñ kab tak
zarā zaḳhmoñ pe dil ke aur thoḌī sī namak-pāshī
nikhartā hī nahīñ dekheñ ye husn-e-gulsitāñ kab tak
ḳhudī ko bech kar sajda koī sajda nahīñ hotā
jabīn-e-shauq se kah do talāsh-e-āstāñ kab tak
mire afkār meñ bālīdgī hai husn-e-qismat kab
tere hoñToñ pe ai shā.ir hadīs-e-dil-barāñ kab tak
numūd-e-sub.h se pahle sar-e-manzil pahuñchnā hai
dhuñdlakoñ se ye ghabrāhaT amīr-e-kārvāñ kab tak
kafan bāñdhe hue sar se shu.ūr-e-zindagī ubhrā
tirī nazroñ meñ saaqī gardish-e-ratl-e-garāñ kab tak
zamāna karvaTeñ letā hai ta.amīrī irādoñ se
na jaane terī āñkhoñ meñ rahe ḳhvāb-e-girāñ kab tak
asīroñ kā ta.alluq kyā bahār-e-sahn-e-gulshan se
qafas meñ aa.egī jaane bahār-e-jāvedāñ kab tak
ḳhudī se kaam le taqdīr shāyad kaam aa jaa.e
hujūm-e-ġham meñ 'fā.iq' shorish-e-āh-o-fuġhāñ kab tak
mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
asir-e-rahbari DhunDenge qadmon ke nishan kab tak
zara zaKHmon pe dil ke aur thoDi si namak-pashi
nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak
KHudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota
jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak
mere afkar mein baalidgi hai husn-e-qismat kab
tere honTon pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak
numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai
dhundlakon se ye ghabrahaT amir-e-karwan kab tak
kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra
teri nazron mein saqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak
zamana karwaTen leta hai tamiri iradon se
na jaane teri aankhon mein rahe KHwab-e-giran kab tak
asiron ka talluq kya bahaar-e-sahn-e-gulshan se
qafas mein aaegi jaane bahaar-e-jawedan kab tak
KHudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jae
hujum-e-gham mein 'faiq' shorish-e-ah-o-fughan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.