zara si raat Dhal jae to shayad nind aa jae
zarā sī raat Dhal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
zarā sā dil bahal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
abhī to karb hai be-chainiyāñ haiñ be-qarārī hai
tabī.at kuchh sambhal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
havā ke narm jhoñkoñ ne jagāyā terī yādoñ ko
havā kā ruḳh badal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
ye tūfāñ āñsuoñ kā jo umaD aayā hai palkoñ tak
kisī sūrat ye Tal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
ye hañstā muskurātā qāfila jo chāñd tāroñ kā
'farah' aage nikal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
zara si raat Dhal jae to shayad nind aa jae
zara sa dil bahal jae to shayad nind aa jae
abhi to karb hai be-chainiyan hain be-qarari hai
tabiat kuchh sambhal jae to shayad nind aa jae
hawa ke narm jhonkon ne jagaya teri yaadon ko
hawa ka ruKH badal jae to shayad nind aa jae
ye tufan aansuon ka jo umaD aaya hai palkon tak
kisi surat ye Tal jae to shayad nind aa jae
ye hansta muskuraata qafila jo chand taron ka
'farah' aage nikal jae to shayad nind aa jae
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 95)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.