umid-e-subh-e-bahaaran KHizan se khinchte hain
umīd-e-sub.h-e-bahārāñ ḳhizāñ se khīñchte haiñ
ye tiir roz dil-e-nā-tavāñ se khīñchte haiñ
kashīd-e-tishnā-labī qatra qatra piite haiñ
ye āb-e-talḳh ġham-e-raftagāñ se khīñchte haiñ
maiñ un se luqma-e-tayyab kī daad kyā chāhūñ
jo apnā rizq dahān-e-sagāñ se khīñchte haiñ
subū se lazzat-e-yak-gūnā lete haiñ lekin
ḳhumār-e-ḳhās lab-e-dostāñ se khīñchte haiñ
dikhā.ī paḌtā hai aadā meñ ek chehra-e-dost
so haath sāhibo saif o sināñ se khīñchte haiñ
ḳhayāl-e-tāza se karte haiñ ḳhvāb-e-nau taḳhlīq
'zafar' zamīneñ na.ī āsmāñ se khīñchte haiñ
umid-e-subh-e-bahaaran KHizan se khinchte hain
ye tir roz dil-e-na-tawan se khinchte hain
kashid-e-tishna-labi qatra qatra pite hain
ye aab-e-talKH gham-e-raftagan se khinchte hain
main un se luqma-e-tayyab ki dad kya chahun
jo apna rizq dahan-e-sagan se khinchte hain
subu se lazzat-e-yak-guna lete hain lekin
KHumar-e-KHas lab-e-dostan se khinchte hain
dikhai paDta hai aada mein ek chehra-e-dost
so hath sahibo saif o sinan se khinchte hain
KHayal-e-taza se karte hain KHwab-e-nau taKHliq
'zafar' zaminen nai aasman se khinchte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.