ummid ke diye ki muKhaalif hawa bhi hai
ummīd ke diye kī muḳhālif havā bhī hai
laḌne kā āñdhiyoñ se magar hausla bhī hai
jaane ko tere shahr se tayyār haiñ magar
ham jā nahīñ sakeñge hameñ ye patā bhī hai
ham ne bhī zulmatoñ ko miTāyā hai apne taur
sūraj ke saath saath hamārā diyā bhī hai
koī to hai jo ḳhāna-e-hastī meñ hai muqīm
āvāz meñ hamārī vahī boltā bhī hai
ummīd-e-sub.h-e-vasl kā dam TūTne lagā
kuchh kah shab-e-firāq tirī intihā bhī hai
chalte chalo ki manzileñ aa kar mileñgī ḳhud
kuchh dar hue haiñ band to ik dar khulā bhī hai
ham ḳhud-pasandiyoñ se nikalne lage 'shajar'
ham sochne lage haiñ hamārā ḳhudā bhī hai
ummid ke diye ki muKHalif hawa bhi hai
laDne ka aandhiyon se magar hausla bhi hai
jaane ko tere shahr se tayyar hain magar
hum ja nahin sakenge hamein ye pata bhi hai
hum ne bhi zulmaton ko miTaya hai apne taur
suraj ke sath sath hamara diya bhi hai
koi to hai jo KHana-e-hasti mein hai muqim
aawaz mein hamari wahi bolta bhi hai
ummid-e-subh-e-wasl ka dam TuTne laga
kuchh kah shab-e-firaq teri intiha bhi hai
chalte chalo ki manzilen aa kar milengi KHud
kuchh dar hue hain band to ek dar khula bhi hai
hum KHud-pasandiyon se nikalne lage 'shajar'
hum sochne lage hain hamara KHuda bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.