umid TuTi hui hai meri jo dil mera tha wo mar chuka hai
umid TuTi hui hai meri jo dil mera tha wo mar chuka hai
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
umiid TuuTī huī hai merī jo dil mirā thā vo mar chukā hai
jo zindagānī ko talḳh kar de vo vaqt mujh par guzar chukā hai
agarche siine meñ saañs bhī hai nahīñ tabī'at meñ jaan baaqī
ajal ko hai der ik nazar kī falak to kaam apnā kar chukā hai
ġharīb-ḳhāne kī ye udāsī ye nā-durustī nahīñ qadīmī
chahal pahal bhī kabhī yahāñ thī kabhī ye ghar bhī sañvar chukā hai
ye siina jis meñ ye daaġh meñ ab masarratoñ kā kabhī thā maḳhzan
vo dil jo armān se bharā thā ḳhushī se us meñ Thahar chukā hai
ġharīb akbar ke gard kyuuñ meñ ḳhayāl vā'iz se koī kah de
use Darāte ho maut se kyā vo zindagī hī se Dar chukā hai
umid TuTi hui hai meri jo dil mera tha wo mar chuka hai
jo zindagani ko talKH kar de wo waqt mujh par guzar chuka hai
agarche sine mein sans bhi hai nahin tabi'at mein jaan baqi
ajal ko hai der ek nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai
gharib-KHane ki ye udasi ye na-durusti nahin qadimi
chahal pahal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai
ye sina jis mein ye dagh mein ab masarraton ka kabhi tha maKHzan
wo dil jo arman se bhara tha KHushi se us mein Thahar chuka hai
gharib akbar ke gard kyun mein KHayal wa'iz se koi kah de
use Daraate ho maut se kya wo zindagi hi se Dar chuka hai
- Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 463)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.