umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta
umr bhar bojh uThāyā to nahīñ jā saktā
har ta'alluq ko nibhāyā to nahīñ jā saktā
aap is baar bhī dīvār meñ chunvā deñ mujhe
ab ke bhī sar ye jhukāyā to nahīñ jā saktā
roz marne kā hunar jis ne sikhāyā hai mujhe
us kā ehsān bhulāyā to nahīñ jā saktā
chashm-e-bīnā hai magar aql se nā-bīnā haiñ
aa.ina un ko dikhāyā to nahīñ jā saktā
tum ne ik umr mire dil pe hukūmat kī hai
tum ko pal bhar meñ bhulāyā to nahīñ jā saktā
jin ko alfāz se Dasne kā hunar aatā hai
haath ab un se milāyā to nahīñ jā saktā
jis qadar sang-zanī chāhiye kar leñ mujh par
sang-zādī ko rulāyā to nahīñ jā sakta
hoñ makīñ jin meñ ka.ī saal se zinda lāsheñ
un makānoñ ko sajāyā to nahīñ jā saktā
jis kī ḳhāmoshī meñ aaseb sukūñ karte hoñ
aisā vīrāna basāyā to nahīñ jā saktā
umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta
har ta'alluq ko nibhaya to nahin ja sakta
aap is bar bhi diwar mein chunwa den mujhe
ab ke bhi sar ye jhukaya to nahin ja sakta
roz marne ka hunar jis ne sikhaya hai mujhe
us ka ehsan bhulaya to nahin ja sakta
chashm-e-bina hai magar aql se na-bina hain
aaina un ko dikhaya to nahin ja sakta
tum ne ek umr mere dil pe hukumat ki hai
tum ko pal bhar mein bhulaya to nahin ja sakta
jin ko alfaz se Dasne ka hunar aata hai
hath ab un se milaya to nahin ja sakta
jis qadar sang-zani chahiye kar len mujh par
sang-zadi ko rulaya to nahin ja sakta
hon makin jin mein kai sal se zinda lashen
un makanon ko sajaya to nahin ja sakta
jis ki KHamoshi mein aaseb sukun karte hon
aisa virana basaya to nahin ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.