umr-bhar chaara-e-junun na hua
umr-bhar chāra-e-junūñ na huā
ab ye kyā sochiye ki kyuuñ na huā
nahīñ ma.alūm kyuuñ tabī.at meñ
aaj rone se kuchh sukūñ na huā
kahīñ vo mā.il-e-karam hī na hoñ
muskurā.e to ġham fuzūñ na huā
ham piyeñ bhī to kyā piyeñ ye mai
bhar gayā jaam lāla-gūñ na huā
shāyad ab ke baras hai ḳhatm junūñ
fasl-e-gul meñ mujhe junūñ na huā
ishq kā zikr sher meñ kyuuñ hai
ye to 'ālī' ġham-e-darūñ na huā
umr-bhar chaara-e-junun na hua
ab ye kya sochiye ki kyun na hua
nahin malum kyun tabiat mein
aaj rone se kuchh sukun na hua
kahin wo mail-e-karam hi na hon
muskurae to gham fuzun na hua
hum piyen bhi to kya piyen ye mai
bhar gaya jam lala-gun na hua
shayad ab ke baras hai KHatm junun
fasl-e-gul mein mujhe junun na hua
ishq ka zikr sher mein kyun hai
ye to 'ali' gham-e-darun na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.