umr bhar hum rahe sharabi se
umr bhar ham rahe sharābī se
dil-e-pur-ḳhūñ kī ik gulābī se
jī Dhahā jaa.e hai sahar se aah
raat guzregī kis ḳharābī se
khilnā kam kam kalī ne sīkhā hai
us kī āñkhoñ kī nīm-ḳhvābī se
burqa uThte hī chāñd sā niklā
daaġh huuñ us kī be-hijābī se
kaam the ishq meñ bahut par 'mīr'
ham hī fāriġh hue shitābī se
umr bhar hum rahe sharabi se
dil-e-pur-KHun ki ek gulabi se
ji Dhaha jae hai sahar se aah
raat guzregi kis KHarabi se
khilna kam kam kali ne sikha hai
us ki aankhon ki nim-KHwabi se
burqa uThte hi chand sa nikla
dagh hun us ki be-hijabi se
kaam the ishq mein bahut par 'mir'
hum hi farigh hue shitabi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.