umr-bhar ka hua ziyan jaanan
umr-bhar kā huā ziyāñ jānāñ
ham yahāñ aur tum vahāñ jānāñ
niiñd aa.ī nahīñ ka.ī din se
ḳhvāb hone lage garāñ jānāñ
kaun jaane tirī mirī uljhan
kaun samjhegā ye zabāñ jānāñ
ba.ad tere yahī rahā aalam
dhuul hī dhuul aur dhuāñ jānāñ
tū bhī zāhir nahīñ zamāne pe
maiñ bhī hotā nahīñ ayaañ jānāñ
umr-bhar ka hua ziyan jaanan
hum yahan aur tum wahan jaanan
nind aai nahin kai din se
KHwab hone lage garan jaanan
kaun jaane teri meri uljhan
kaun samjhega ye zaban jaanan
baad tere yahi raha aalam
dhul hi dhul aur dhuan jaanan
tu bhi zahir nahin zamane pe
main bhi hota nahin ayan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.