umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha
umr bhar kī dostī kā haañ bharam rakkhā na thā
ba.ad muddat ke khulā mujh pe ki vo merā na thā
yuuñ jalā.e zindagī bhar maiñ ne yādoñ ke charāġh
sāmne jin ke charāġh-e-dīgarāñ jaltā na thā
kal maiñ us kī guftugū suntī rahī suntī rahī
is mohabbat se vo pahle to kabhī bolā na thā
kuchh to andāza thā mujh ko us kī āñkhoñ kā magar
dil kī hālat kā ye us ne baab yuuñ kholā na thā
sochtī huuñ kyuuñ maiñ jaise guñg ho kar rah ga.ī
is tarah siine meñ dil pahle kabhī dhaḌkā na thā
e'tirāf-e-ishq ne namnāk kī āñkheñ mirī
aañkh meñ kājal qasam hai is tarah phailā na thā
us kī ḳhvāhish thī so 'farḳhanda' maiñ qaa.il ho ga.ī
vo payām-e-ishq bhejegā kabhī sochā na thā
umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha
baad muddat ke khula mujh pe ki wo mera na tha
yun jalae zindagi bhar main ne yaadon ke charagh
samne jin ke charagh-e-digaran jalta na tha
kal main us ki guftugu sunti rahi sunti rahi
is mohabbat se wo pahle to kabhi bola na tha
kuchh to andaza tha mujh ko us ki aankhon ka magar
dil ki haalat ka ye us ne bab yun khola na tha
sochti hun kyun main jaise gung ho kar rah gai
is tarah sine mein dil pahle kabhi dhaDka na tha
e'tiraf-e-ishq ne namnak ki aankhen meri
aankh mein kajal qasam hai is tarah phaila na tha
us ki KHwahish thi so 'farKHanda' main qail ho gai
wo payam-e-ishq bhejega kabhi socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.