umr bhar kuchh KHwab dil par dastaken dete rahe
umr bhar kuchh ḳhvāb dil par dastakeñ dete rahe
ham ki majbūr-e-vafā the āhaTeñ sunte rahe
jab taḳhayyul isti.āroñ meñ Dhalā to shahr meñ
der tak husn-e-bayāñ ke tazkire hote rahe
diip yādoñ ke jale to ek bechainī rahī
itnī bechainī ki shab bhar karvaTeñ lete rahe
ek uljhan raat din paltī rahī dil meñ ki ham
kis nagar kī ḳhaak the kis dasht meñ Thahre rahe
ham 'baqā' ik ret kī chādar ko oḌhe der tak
dasht-e-māzī ke sunahre ḳhvāb meñ kho.e rahe
umr bhar kuchh KHwab dil par dastaken dete rahe
hum ki majbur-e-wafa the aahaTen sunte rahe
jab taKHayyul istiaron mein Dhala to shahr mein
der tak husn-e-bayan ke tazkire hote rahe
dip yaadon ke jale to ek bechaini rahi
itni bechaini ki shab bhar karwaTen lete rahe
ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki hum
kis nagar ki KHak the kis dasht mein Thahre rahe
hum 'baqa' ek ret ki chadar ko oDhe der tak
dasht-e-mazi ke sunahre KHwab mein khoe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.