umr bhar raaz wo puchha kiye parwane se
umr bhar raaz wo puchha kiye parwane se
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
umr bhar raaz vo pūchhā kiye parvāne se
ḳhud-baḳhud aaj khulā ham pe vo jal jaane se
gar pilānā hai to nazroñ se pilā de apnī
lutf aatā nahīñ saaqī mujhe paimāne se
raaz ye hai ki na ho raaz se vāqif koī
ishq meñ ham jo phirā karte haiñ dīvāne se
dekh aate haiñ haram kī bhī haqīqat 'fā.iq'
varna nākām to phir aa.e haiñ but-ḳhāne se
umr bhar raaz wo puchha kiye parwane se
KHud-baKHud aaj khula hum pe wo jal jaane se
gar pilana hai to nazron se pila de apni
lutf aata nahin saqi mujhe paimane se
raaz ye hai ki na ho raaz se waqif koi
ishq mein hum jo phira karte hain diwane se
dekh aate hain haram ki bhi haqiqat 'faiq'
warna nakaam to phir aae hain but-KHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.