umr bhar rishta raha hai aankhon ke pani ke sath
'umr bhar rishta rahā hai āñkhoñ ke paanī ke saath
zindagī kaise chale aise meñ āsānī ke saath
haa.e re taqdīr merī bebasī to dekhiye
'ishq bhī mujh ko huā to dushman-e-jānī ke saath
muskurātā huuñ ki ho jaa.e na duniyā ko ḳhabar
kar rahā huuñ maiñ guzārā kis pareshānī ke saath
sabz mausam phuul ḳhushbū kuchh na bhaa.e ab mujhe
taar dil ke juḌ ga.e haiñ kaisī vīrānī ke saath
chhoḌ aayā shahr meñ lekin mohabbat hai juḌī
yaar tere shahr kī miTTī havā paanī ke saath
'umr bhar rishta raha hai aankhon ke pani ke sath
zindagi kaise chale aise mein aasani ke sath
hae re taqdir meri bebasi to dekhiye
'ishq bhi mujh ko hua to dushman-e-jaani ke sath
muskuraata hun ki ho jae na duniya ko KHabar
kar raha hun main guzara kis pareshani ke sath
sabz mausam phul KHushbu kuchh na bhae ab mujhe
tar dil ke juD gae hain kaisi virani ke sath
chhoD aaya shahr mein lekin mohabbat hai juDi
yar tere shahr ki miTTi hawa pani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.