umr guzri hai teri galiyon ke chakkar kaT kar
'umr guzrī hai tirī galiyoñ ke chakkar kaaT kar
kyoñ na likhkhūñ ḳhud ko majnūñ maiñ suḳhanvar kaaT kar
jaane ye kaisī sharārat aaj sūjhī hai use
vo mujhe uḌne ko kahtī hai mire par kaaT kar
jab bhī maiñ himmat juTā kar kartā huuñ iz.hār-e-'ishq
bolne lagtī hai paglī baat aksar kaaT kar
kitnī āsānī se karte haiñ vo puurī ḳhvāhisheñ
maa.ī patthar dil pe rakh kar baabā patthar kaaT kar
aaj phir pīchhe paḌā hai qāfila fir.aun kā
ai mire rahbar banā rasta samundar kaaT kar
ai 'atā' zāhir to kar bechainiyoñ ke raaz kuchh
likh rahā hai naam kis kā tū barābar kaaT kar
'umr guzri hai teri galiyon ke chakkar kaT kar
kyon na likhkhun KHud ko majnun main suKHanwar kaT kar
jaane ye kaisi shararat aaj sujhi hai use
wo mujhe uDne ko kahti hai mere par kaT kar
jab bhi main himmat juTa kar karta hun izhaar-e-'ishq
bolne lagti hai pagli baat aksar kaT kar
kitni aasani se karte hain wo puri KHwahishen
mai patthar dil pe rakh kar baba patthar kaT kar
aaj phir pichhe paDa hai qafila firaun ka
ai mere rahbar bana rasta samundar kaT kar
ai 'ata' zahir to kar bechainiyon ke raaz kuchh
likh raha hai nam kis ka tu barabar kaT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.