umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein
umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
umr guzrī in butoñ ke vasl kī tadbīr meñ
kyā ḳhabar mujh ko ye patthar the mirī taqdīr meñ
paak kar ke is ko lā qātil lahū khātā hai josh
ġhair ke ḳhuuñ ke haiñ dhabbe dāman-e-shamshīr meñ
balkī letā hai muqaddar mujh se kyoñ har martaba
bal hai un kī zulf kā kyā gesū-e-taqdīr meñ
hijr-e-zulf-e-yār meñ is darja huuñ zār-o-nahīf
hai farāġhat se guzar ab ḳhāna-e-zanjīr meñ
aaj tak ḳhārish nahīñ zaḳhm-e-jigar kī kam huī
kis qayāmat kā mazā thā nāḳhun-e-shamshīr meñ
kis tarah be-qatl ke aa.e mujhe ārām-o-chain
shakl maqsad kī to hai ā.īna-e-shamshīr meñ
qalb meñ paivast paikāñ bhī isī sūrat se ho
jaise baiThī hai sirī ai turk tere tiir meñ
jin ke dil faulād haiñ ġham kā asar un pe ho kyā
ashk kab dekhe kisī ne dīda-e-zanjīr meñ
is za.īfī meñ ḳhatā kartā nahīñ tīr-e-sitam
haiñ abhī kas-bal javānoñ ke se charḳh-e-pīr meñ
vāqa.ī dil kī ḳhatā hai āshiq-e-mizhgāñ huā
is ko kuchh tambīh kar diije zabān-e-tīr meñ
mehr-o-ulfat kā mahal us but ke rahne kā maqām
manzil-e-dil bhī hai kyā manzil mirī ta.amīr meñ
ashk-e-ḳhūñ nāshādī-e-ushshāq par roī hai ye
ḳhuun ke dhabbe nahīñ haiñ yaar kī shamshīr meñ
kisht-e-vahshat par agar barsā.e vo āb-e-karam
kopaleñ phūTeñ abhī har dāna-e-zanjīr meñ
ek din ke dard-e-furqat ne ye naqsha kar diyā
ho ga.ī begānagī mujh meñ mirī tasvīr meñ
dekhiye qismat kī ḳhūbī kuchh paḌhā jaatā nahīñ
us ne naama bhī jo likkhā to ḳhat-e-taqdīr meñ
aarzū hai 'bazm' kī ḳhāliq vo din laa.e kahīñ
marsiya jā kar paḌhūñ maiñ rauza-e-shabbīr meñ
umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein
kya KHabar mujh ko ye patthar the meri taqdir mein
pak kar ke is ko la qatil lahu khata hai josh
ghair ke KHun ke hain dhabbe daman-e-shamshir mein
balki leta hai muqaddar mujh se kyon har martaba
bal hai un ki zulf ka kya gesu-e-taqdir mein
hijr-e-zulf-e-yar mein is darja hun zar-o-nahif
hai faraghat se guzar ab KHana-e-zanjir mein
aaj tak KHarish nahin zaKHm-e-jigar ki kam hui
kis qayamat ka maza tha naKHun-e-shamshir mein
kis tarah be-qatl ke aae mujhe aaram-o-chain
shakl maqsad ki to hai aaina-e-shamshir mein
qalb mein paiwast paikan bhi isi surat se ho
jaise baiThi hai siri ai turk tere tir mein
jin ke dil faulad hain gham ka asar un pe ho kya
ashk kab dekhe kisi ne dida-e-zanjir mein
is zaifi mein KHata karta nahin tir-e-sitam
hain abhi kas-bal jawanon ke se charKH-e-pir mein
waqai dil ki KHata hai aashiq-e-mizhgan hua
is ko kuchh tambih kar dije zaban-e-tir mein
mehr-o-ulfat ka mahal us but ke rahne ka maqam
manzil-e-dil bhi hai kya manzil meri tamir mein
ashk-e-KHun nashadi-e-ushshaq par roi hai ye
KHun ke dhabbe nahin hain yar ki shamshir mein
kisht-e-wahshat par agar barsae wo aab-e-karam
kopalen phuTen abhi har dana-e-zanjir mein
ek din ke dard-e-furqat ne ye naqsha kar diya
ho gai beganagi mujh mein meri taswir mein
dekhiye qismat ki KHubi kuchh paDha jata nahin
us ne nama bhi jo likkha to KHat-e-taqdir mein
aarzu hai 'bazm' ki KHaliq wo din lae kahin
marsiya ja kar paDhun main rauza-e-shabbir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.