umr kar-e-jahan se guzri hai
umr kār-e-jahāñ se guzrī hai
gardish-e-āsmāñ se guzrī hai
dekhtā huuñ shabāb ko muḌ kar
zindagānī yahāñ se guzrī hai
dil kī rūdād kaif kā aalam
dāstāñ dāstāñ se guzrī hai
raat be-jām-o-ḳhosha-e-añgūr
uf nazar kahkashāñ se guzrī hai
zindagānī-e-kāhish-e-ummīd
merī umr-e-ravāñ se guzrī hai
ye huā hai ki ab mirī ummīd
dil meñ hai rāh-e-jāñ se guzrī hai
be-ḳhudī ke karam se ai 'kaifī'
ḳhuub pīr-e-muġhāñ se guzrī hai
umr kar-e-jahan se guzri hai
gardish-e-asman se guzri hai
dekhta hun shabab ko muD kar
zindagani yahan se guzri hai
dil ki rudad kaif ka aalam
dastan dastan se guzri hai
raat be-jam-o-KHosha-e-angur
uf nazar kahkashan se guzri hai
zindagani-e-kahish-e-ummid
meri umr-e-rawan se guzri hai
ye hua hai ki ab meri ummid
dil mein hai rah-e-jaan se guzri hai
be-KHudi ke karam se ai 'kaifi'
KHub pir-e-mughan se guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.