umr kaTi hai ham-nashinon mein
'umr kaaTī hai ham-nashīnoñ meñ
saañp paale haiñ āstīnoñ meñ
zālimoñ meñ shumār hai un kā
log karte rahe hasīnoñ meñ
dard par dastaras jo hāsil hai
sabr ayyūb sā hai sīnoñ meñ
vaqt-e-ruḳhsat Dubo ke kahte haiñ
kuchh nahīñ rah gayā safīnoñ meñ
un kī tā'rīf dushmanoñ ne bhī kī
ham rahe apne nukta-chīnoñ meñ
yaar aġhyār tīsrā 'āshiq
hashr kā faisla hai tīnoñ meñ
ham ne had-darja shauq se 'irsa'
aable paale ābgīnoñ meñ
'umr kaTi hai ham-nashinon mein
sanp pale hain aastinon mein
zalimon mein shumar hai un ka
log karte rahe hasinon mein
dard par dastaras jo hasil hai
sabr ayyub sa hai sinon mein
waqt-e-ruKHsat Dubo ke kahte hain
kuchh nahin rah gaya safinon mein
un ki ta'rif dushmanon ne bhi ki
hum rahe apne nukta-chinon mein
yar aghyar tisra 'ashiq
hashr ka faisla hai tinon mein
hum ne had-darja shauq se 'irsa'
aable pale aabginon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.