umr ki sari thakan lad ke ghar jata hun
'umr kī saarī thakan laad ke ghar jaatā huuñ
raat bistar pe maiñ sotā nahīñ mar jaatā huuñ
aksar auqāt bhare shahr ke sannāTe meñ
is qadar zor se hañstā huuñ ki Dar jaatā huuñ
mujh se pūchhe to sahī ā.īna-ḳhāna merā
ḳhāl-o-ḳhad le ke maiñ hamrāh kidhar jaatā huuñ
dil Thahar jaatā hai bhūlī huī manzil meñ kahīñ
maiñ kisī dūsre raste se guzar jaatā huuñ
sahmā rahtā huuñ bahut halqa-e-ahbāb meñ maiñ
chaar dīvār meñ aate hī bikhar jaatā huuñ
mere aane kī ḳhabar sirf diyā rakhtā hai
maiñ havāoñ kī tarah ho ke guzar jaatā huuñ
maiñ ne jo apne ḳhilāf aap gavāhī dī hai
vo tire haq meñ nahīñ hai to mukar jaatā huuñ
'umr ki sari thakan lad ke ghar jata hun
raat bistar pe main sota nahin mar jata hun
aksar auqat bhare shahr ke sannaTe mein
is qadar zor se hansta hun ki Dar jata hun
mujh se puchhe to sahi aaina-KHana mera
KHal-o-KHad le ke main hamrah kidhar jata hun
dil Thahar jata hai bhuli hui manzil mein kahin
main kisi dusre raste se guzar jata hun
sahma rahta hun bahut halqa-e-ahbab mein main
chaar diwar mein aate hi bikhar jata hun
mere aane ki KHabar sirf diya rakhta hai
main hawaon ki tarah ho ke guzar jata hun
main ne jo apne KHilaf aap gawahi di hai
wo tere haq mein nahin hai to mukar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.