umr se laDne gae jo KHwab sare Dhah gae
umr se laḌne ga.e jo ḳhvāb saare Dhah ga.e
ret ke ghar saare ik mauj ravāñ meñ bah ga.e
lamha lamha ek ta.amīr-e-musalsal thī hayāt
aah lekin niiñv ke lamhe hī bāhar rah ga.e
har kisī ke andarūñ meñ jhāñknā mumkin na thā
par zarā paa.ī vo ḳhushbū phir to tah-dar-tah ga.e
mausam-e-hijrāñ meñ ye bārish ye ḳhushbū ye ghaTā
kyā ye kuchh kam thā ke ham phūloñ kā khilnā sah ga.e
achchhā achchhā aap haiñ vo jo haiñ duniyā se alag
ittifāqan ye hī saare duniyā vaale ki ga.e
umr se laDne gae jo KHwab sare Dhah gae
ret ke ghar sare ek mauj rawan mein bah gae
lamha lamha ek tamir-e-musalsal thi hayat
aah lekin ninw ke lamhe hi bahar rah gae
har kisi ke andarun mein jhankna mumkin na tha
par zara pai wo KHushbu phir to tah-dar-tah gae
mausam-e-hijran mein ye barish ye KHushbu ye ghaTa
kya ye kuchh kam tha ke hum phulon ka khilna sah gae
achchha achchha aap hain wo jo hain duniya se alag
ittifaqan ye hi sare duniya wale ki gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.