umr yun hi tamam kar jaun
umr yuuñ hī tamām kar jā.ūñ
tere ghar aa.uuñ tere ghar jā.ūñ
ḳhud ko begāna tujh se kar jā.ūñ
maut se pahle kaise mar jā.ūñ
tā-ba-ke maiñ dhuāñ dhuāñ sā rahūñ
jal-bujhūñ ḳhud ko raakh kar jā.ūñ
zinda rahne kī jab zarūrat hai
zindagī chāhtī hai mar jā.ūñ
ḳhvāb ban jā.ūñ terī āñkhoñ kā
shab ko aa.uuñ dam-e-sahar jā.ūñ
umr yun hi tamam kar jaun
tere ghar aaun tere ghar jaun
KHud ko begana tujh se kar jaun
maut se pahle kaise mar jaun
ta-ba-ke main dhuan dhuan sa rahun
jal-bujhun KHud ko rakh kar jaun
zinda rahne ki jab zarurat hai
zindagi chahti hai mar jaun
KHwab ban jaun teri aankhon ka
shab ko aaun dam-e-sahar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.