un aankhon mein rang-e-mai nahin hai
un āñkhoñ meñ rañg-e-mai nahīñ hai
kuchh aur hai ye vo shai nahīñ hai
kashtī to ravāñ hai kab se shab kī
kis ghaaT lagegī tai nahīñ hai
kyā dil meñ basā.ūñ terī sūrat
ā.īne meñ aks hai nahīñ hai
dāman ko zarā jhaTak to dekho
duniyā hai kuchh aur shai nahīñ hai
āhañg-e-sukūt dam-ba-dam sun
ye sāz-e-nafas hai nai nahīñ hai
un aankhon mein rang-e-mai nahin hai
kuchh aur hai ye wo shai nahin hai
kashti to rawan hai kab se shab ki
kis ghaT lagegi tai nahin hai
kya dil mein basaun teri surat
aaine mein aks hai nahin hai
daman ko zara jhaTak to dekho
duniya hai kuchh aur shai nahin hai
aahang-e-sukut dam-ba-dam sun
ye saz-e-nafas hai nai nahin hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 22)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.