un ka didar meri qismat mein
un kā dīdār merī qismat meñ
ishq to ḳhush hai itnī ujrat meñ
maiñ ne sab kuchh hī soch rakkhā hai
mujh ko Dāloge kaise hairat meñ
aa.ina roz muskurātā hai
kuchh to achchhā hai merī sūrat meñ
raushnī ne sikhā.ī chālākī
kitnā ma.asūm thā maiñ zulmat meñ
jaane vo kis ḳhayāl meñ gum thā
baat kar baiThā mujh se ġhaflat meñ
maiñ na aayā nazar savāloñ ko
ḳhaak itnī uḌaa.ī vahshat meñ
hoñT tak bhī na tar hue mere
bech dī pyaas maiñ ne ujlat meñ
un ka didar meri qismat mein
ishq to KHush hai itni ujrat mein
main ne sab kuchh hi soch rakkha hai
mujh ko Daloge kaise hairat mein
aaina roz muskuraata hai
kuchh to achchha hai meri surat mein
raushni ne sikhai chaalaki
kitna masum tha main zulmat mein
jaane wo kis KHayal mein gum tha
baat kar baiTha mujh se ghaflat mein
main na aaya nazar sawalon ko
KHak itni uDai wahshat mein
honT tak bhi na tar hue mere
bech di pyas main ne ujlat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.