un ka diwana sada un pe nazar rakhta hai
un kā dīvāna sadā un pe nazar rakhtā hai
ḳhud se begāna sahī un kī ḳhabar rakhtā hai
chehra chehra mutabassim hai tirī mahfil meñ
phir bhī ik chehra abhī dīda-e-tar rakhtā hai
ab to insāñ se ġhanīmat hai ik adnā panchhī
laakh kamzor sahī apnā to ghar rakhtā hai
jis kī sāñsoñ meñ basī ho tirī yādoñ kī mahak
ġhuncha-o-gul pe vo kab apnī nazar rakhtā hai
tere aane se yaqīñ mujh ko huā hai ai dost
jazba-e-shauq-e-mulāqāt asar rakhtā hai
jis ko jiine kā salīqa nahīñ aatā 'mashkūr'
apne dāman meñ vahī la.al-o-gohar rakhtā hai
un ka diwana sada un pe nazar rakhta hai
KHud se begana sahi un ki KHabar rakhta hai
chehra chehra mutabassim hai teri mahfil mein
phir bhi ek chehra abhi dida-e-tar rakhta hai
ab to insan se ghanimat hai ek adna panchhi
lakh kamzor sahi apna to ghar rakhta hai
jis ki sanson mein basi ho teri yaadon ki mahak
ghuncha-o-gul pe wo kab apni nazar rakhta hai
tere aane se yaqin mujh ko hua hai ai dost
jazba-e-shauq-e-mulaqat asar rakhta hai
jis ko jine ka saliqa nahin aata 'mashkur'
apne daman mein wahi lal-o-gohar rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.